Love Shayari
Copy The Following Code
Kitni azii-at se us ne mujh ko bhulaya hoga
Meri yadoon ne usse khoob rulaya hoga
Baat be baat aankh us ki jo chalakti hogi
Us ne chehre ko bazoun main chupaya hoga
Soocha hoga us ne din mein kaii baar mujhe
Naam hathelli pe bhi likh likh ke mitaya hoga
Jahan us ne mera zikr suna hoga kisi se
Us ki aankhon mein koi aanso to aaya hoga
Raat ke bhegne tak neend na aai hogi tujhe
Tu ne takiye ko bhi senay se lagaya hoga
Ho ke nidhal meri yaadoon se tune jana
Meri tasveer pe sir apna tikaya hoga
Poocha hoga jo kisi ne teri halat ka sabab
Tune batoon mein khoob us se chupaya hoga
Jab kabhi chand ko dekha akele tu ne
Tujhe Mera saath bara yaad aaya hoga...
Copy The Following Code
aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa
itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to dar jaayegaa
tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa
zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa
duubate duubate kashtii to ochhaalaa de don
main nahiin koii to saahil pe utar jaayegaa
zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz'
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa
Copy The Following Code
Yeh Ishq Badha Beikhteyaar Hai
Dil Ko Talaash e Sskoom Hai
Ankhon Main Intezaar Hai
Jahan Tak Samjha Hon Isko
Yeh Ishq Badha Beikhteyaar Hai
Copy The Following Code
Aapki Ek Muskaan Par Jahaan Waar Denge,
Waada Hai Aapko Bepanaah Pyaar Denge,
Kabhi Mauka Aaye To Aajma Ke Dekh Lena,
Aapke Ek Ishaare Par Jaan Waar Denge !
Copy The Following Code
0 comments:
Post a Comment